bajae koi shahnai mujhe achchha nahin lagta mohabbat ka tamashai mujhe achchha nahin lagta wo jab bichhde the hum to yaad hai garmi ki chhuttiyan thin tabhi se mah july mujhe achchha nahin lagta wo sharmati hai itna ki hamesha us ki baaton ka qariban ek chauthai mujhe achchha nahin lagta na-jaane itni kadwahat kahan se aa gai mujh mein kare jo meri achchhai mujhe achchha nahin lagta mere dushman ko itni fauqiyat to hai bahar-surat ki tu hai us ki ham-sai mujhe achchha nahin lagta na itni dad do jis mein meri aawaz dab jae kare jo yun pazirai mujhe achchha nahin lagta teri khatir nazar-andaz karta hun use warna wo jo hai na tera bhai mujhe achchha nahin lagta