dil ki rah jae na dil mein ye kahani kah lo chahe do harf likho chahe zabani kah lo main ne marne ki dua mangi wo puri na hui bas isi ko mere jine ki nishani kah lo sarsar-e-waqt uda le gai rudad-e-hayat wahi auraq jinhen ahd-e-jawani kah lo jab nahin shakh-e-chaman par to mera nam hi kya barg aawara kaho barg-e-khizani kah lo tum se kahne ki na thi baat magar kah baitha ab use meri tabiat ki rawani kah lo wahi ek qissa zamane ko mera yaad raha wahi ek baat jise aaj purani kah lo hum pe jo guzri hai bas us ko raqam karte hain aap-biti kaho ya marsiya-khwani kah lo