tarab-afrin hai kitna sar-e-sham ye nazara tere hont par shafaq hai meri aankh mein sitara kiya main ne jab kisi ke rukh-o-zulf se kinara kabhi subh ne sada di kabhi sham ne pukara gul-o-ghuncha asl mein hain teri guftugu ki shaklen kabhi khul ke baat kah di kabhi kar diya ishaara tera nam le ke jage tujhe yaad kar ke soe yun hi sari umr kati yun hi kar liya guzara tujhe baghban hai khatra usi barq ki chamak se kabhi tu ne ye na socha ki hai gul bhi ek sharara ye adam wajud kya hai tera naz hai musawwir kisi naqsh ko mitaya kisi naqsh ko ubhaara bhala hum 'salam' aakhir na asir honge kab tak ki jahan hai dam un ka wahin aashiyan hamara