dil ki rudad dil-lagi na sahi sun to lije kabhi abhi na sahi dekh kar mujh ko pher lin nazren in ke chehre pe barhami na sahi un ka jalwa to har maqam pe hai aam faizan-e-did hi na sahi mere iqan mein kami kyon hai aap ke lutf mein kami na sahi jabr-e-hasti hai na-guzir 'ashraf' zindagi aaj zindagi na sahi