haq nahin mujh ko shadmani ka shukriya gham ki mehrbani ka aap ke aur hamare aansu mein farq hai aag aur pani ka hai mohabbat ka nam umr-e-abad zikr hi kya hayat-e-fani ka khud mere dil ne meri aankhon ko farz saunpa hai khun-fishani ka ahl-e-dil ki kahaniyan tauba ek unwan hai har kahani ka kyon na sargoshiyan hon mahfil mein faiz hai meri be-zabani ka tere gham se siwa ye gham hai hamein jaane kya ho teri nishani ka sher rudad-e-dil hai nam nahin sirf alfaz ki rawani ka karwan ke ghubar mein 'ashraf' chhup gaya rang zindagani ka