dil ki rudad nigahon se bayan hoti hai

dil ki rudad nigahon se bayan hoti hai
dard-mandon ki khamoshi mein zaban hoti hai

khud-faramosh na jab tak ho koi kya samjhe
be-nishani bhi mohabbat mein nishan hoti hai

naqsh-e-ummid hain ban ban ke bigadte kya kya
zindagi raqs-gah-e-reg-e-rawan hoti hai

jo tere husn-e-nazar-gir se shadab nahin
un bahaaron ke muqaddar mein khizan hoti hai

wo bura waqt mohabbat mein na dekhe koi
jab mohabbat bhi tabiat pe garan hoti hai

yun bhi hoti hai tere gham ki nawazish aksar
lab pe hoti hai hansi dil mein fughan hoti hai

jaan-nisari se hai tauqir-e-mohabbat lekin
dekhna ye hai ki takmil kahan hoti hai

hum wahan ho ke bhi maujud kahan hote hain
ham-nashinon mein teri baat jahan hoti hai

chaunk uthta hai gham-e-hijr ka ehsas 'rishi'
un ke aane pe bhi taskin kahan hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close