wo ek sawal-e-sitara ki aasman mein tha tamam raat ye dil sakht imtihan mein tha sukun sarab zamin mein jhulas gaya tha badan na jaane kaun dhanak-rang saeban mein tha zara sa dam na liya tha ki mund gain aankhen main is safar se nikal kar ajab takan mein tha wo jate jate achanak muda tha meri taraf mujhe yaqin hai ki wo phir kisi guman mein tha use bhulaya to apna khayal bhi na raha ki mera sara asasa isi makan mein tha