dil ki tafhim ka moamla tha hum ko darpesh aisa masala tha hum ne tadbir kuchh kiya hua tha aur muqaddar ajib silsila tha naz-parwar teri suhulat ko dil ko tera banaya mashghala tha rang-awar the lamhe jiwan ke koi jannat ka jaise dar khula tha hath par lafz the 'dua' ke idhar panw mein sans leta aabla tha