garche nisbat bhi usko gham se hai

garche nisbat bhi us ko gham se hai
wo meri zindagi qasam se hai

us ko sajda bhi kar nahin sakti
dair se wo nahin haram se hai

kuchh nahin lena mujh ko duniya se
mujh ko matlab tere karam se hai

zindagi ki udas rahon mein
lutf un abruon ke kham se hai

laj rakhti hun main jo lafzon ki
rabt qirtas aur qalam se hai

us se kya ruthna 'dua' mera
dil dhadakta usi ke dam se hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close