dil ki taklif kam nahin karte ab koi shikwa hum nahin karte jaan-e-jaan tujh ko ab teri khatir yaad hum koi dam nahin karte dusri haar ki hawas hai so hum sar-e-taslim kham nahin karte wo bhi padhta nahin hai ab dil se hum bhi nale ko nam nahin karte jurm mein hum kami karen bhi to kyun tum saza bhi to kam nahin karte