tohmat-e-hasrat-e-parwaz na mujh par bandhe wajh kya khol ke sayyaad ne phir par bandhe baghban ghat mein sayyaad hamesha maujud aashiyan bagh mein bulbul kaho kyunkar bandhe jo chhuri dekh ke qassab ki tharraate the shan-e-haq hai wahi ab phirte hain khanjar bandhe kal kiya tha jo mere chaak-e-gareban mein rafu is khata par gae hain aaj rafu-gar bandhe ho chuka tha jo mere tez-pari se aagah chust kar ke mere sayyaad ne shahpar bandhe shoara khaenge kya kya na abhi to dhoke sarw bandhe koi us qad ko sanobar bandhe moajiza lab tera goya kare ai rashk-e-kalim jo zaban sehr se ye chashm-e-fusun-gar bandhe mutmain baith tu sayyaad na kar qaid-e-shadid hun main paband-e-mohabbat tera be-par bandhe bagh-e-alam mein usi ke liye hai nashw-o-numa surat-e-ghuncha rahe ganth mein jo zar bandhe bosa manga jo shab-e-wasl to bola hans kar kahin aisa na ho har roz ki tu kar bandhe dil ki betabi se tanke mere sab tut gae patti jarrah kaho zakhm pe kyunkar bandhe le to jaega khat-e-shauq magar rashk ye hai aashiyan baam par us ke na kabutar bandhe ummati kya karen aljua na chillaen agar bhuk mein jabki nabi pet pe patthar bandhe iftira karne mein tufan hai wo shokh-e-zarif tutiya taza koi aur na mujh par bandhe mujh sa mahram tere mahram ka na hoga koi beshtar khol diye band aur akasr bandhe dast-e-sanat se bane us ke agar tujh sa but kyun hawa apni khudai ki na aazar bandhe shairi ke liye lazim hai talazum na chhute lal lab ko tere tu danton ko gauhar bandhe pa-e-raftar agar hote to chalta-phirta 'rind' murda sa pada rahta na yun sar bandhe