dil ki tarah hi ab meri duniya kharab hai so apna haal in dinon achchha kharab hai aansu bahe to yun hua binai badh gai phir saf saf dikh gaya kya kya kharab hai pahle-pahal to main tera yak-tarfa ishq tha ab mera haal tujh se ziyaada kharab hai duniya se tang shakhs ko achchhi hai khud-kushi gharqab hote shakhs ko tinka kharab hai to ishq se mitaenge duniya ki nafraten 'mishra' ji aap thik hain matha kharab hai