tere baghair lag raha hai ye safar khamosh hai hawa thami hui hai aur rahguzar khamosh hai hain apni apni ja pe donon muztarib ki kya karen teri nigah mein shor hai meri nazar khamosh hai teri sadaen aa nahin rahi hain is sukut mein ki hont hil rahe hain tere tu magar khamosh hai pukarta hun apne-ap ko ki mar na jaun main magar pukar par meri tarah nagar khamosh hai koi to gung rah gaya kisi ko sanp das gaya ki baam chup hai dar khula pada hai ghar khamosh hai