dil ki turbat mein koi dard daba hai ab bhi

dil ki turbat mein koi dard daba hai ab bhi
aisa lagta hai koi zakhm hara hai ab bhi

har sitare ko tera nam de ke kah dunga
meri duniya ka faqat ek khuda hai ab bhi

muntazir hun ki ye jine ki amawas guzre
raat ke sine mein ek chand chhupa hai ab bhi

bin marasim bhi na wo ghair hua mujh se kabhi
main kisi aur ka hun aur wo mera hai ab bhi

apna dushman hi banata hai mohabbat ka junun
sarfaroshi ki wahi ishq-ada hai ab bhi

khauf ye hai ki judai ke to dukhde hain hazar
shukr ye hai ki mohabbat mein maza hai ab bhi

yaad kar kar ke tujhe ab bhi dua deta hun
bhulne wale teri ye hi saza hai ab bhi

zindagi jaan de ke ek roz mana lenge tujhe
itna tadpa ke bhi gar mujh se khafa hai ab bhi

rashk aata hai mujhe rasm-e-wafa par 'ulfat'
bewafa hona yahan shart-e-wafa hai ab bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close