kaisi diwangi kaisa aawara-pan baT gai raushni anjuman-anjuman

kaisi diwangi kaisa aawara-pan bat gai raushni anjuman-anjuman
raqs karti rahi tirgi mere ghar shama jalti rahi anjuman-anjuman

ho pareshan tere nagar aa gaya har gali ghumta tere ghar aa gaya
chand jalta raha tere dar par khada chandni gir padi anjuman-anjuman

rah gai katti mujh ko tanhaiyan mahfil-e-rang hain sirf parchhaiyan
bin tere bekali bin tere bekasi kaisi bechaargi anjuman-anjuman

tutta phutta dard ka mara dil phir bhi sine mein hai jaise sayyara dil
hum mile kho gae hum juda ho gae kho gai har khushi anjuman-anjuman

do nigahon ke ye jam bharte rahe jam par jam ke daur chalte rahe
roe kitna magar pyas itni badhi aisi thi tishnagi anjuman-anjuman

harf kaghaz ke panne palatte rahe sher aa aa ke lab pe bhatakte rahe
ishq kahta gaya dard likhta gaya fikr-o-fan shairi anjuman-anjuman

jite ji haal jo be-dawa ka hua haal 'ulfat' wo teri dua ka hua
maut phirti rahi hum ko sar par liye zindagi-zindagi anjuman-anjuman


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close