dil ki wahshat ne wo diwana banaya mujhko

dil ki wahshat ne wo diwana banaya mujh ko
dur bhage hai mera chhod ke saya mujh ko

hath uthane ke nahin ishq-e-butan se naseh
lakh ki ek kahi aur na bakwa mujh ko

ek to jaur-e-butan dusri ye aur suno
chain deta nahin ek dam dil-e-shaida mujh ko

tark-e-adab na ho khanjar-e-qatil ke tale
jaan de o dil-e-betab na tadpa mujh ko

ghuncha-e-gul na samajhna dil-e-ashiq hun main
tu hi jaanegi saba dekh jo chheda mujh ko

kuchh bhi ghairat hai tujhe dekh tu ai khana-kharab
log kahte hain tere ishq mein kya kya mujh ko

shoala-e-ishq ki garmi ne shab-e-furqat mein
shama san subh se pahle hi nabeda mujh ko

dil ko le bhage hain jab mangun hun dikhla rukh-o-zulf
bas batate hain yun hi sham-o-sawera mujh ko

'aish' ise khubi-e-qismat ke siwa kya kahiye
dil mila hai so wo labrez-e-tamanna mujh ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close