falak ye jaur-o-sitam mujhse na-tawan ke liye

falak ye jaur-o-sitam mujh se na-tawan ke liye
main hi tha kya tere zulmon ke imtihan ke liye

dil aashiqon ke the pamali-e-butan ke liye
na jaur-e-ghair-o-jafa-ha-e-asman ke liye

main mustaid hun agar nala-o-fughan ke liye
to kuchh se kuchh abhi ho jae aasman ke liye

phansa ke yar ki zulfon mein hum ne dil dekho
kharidi aur bala ek apni jaan ke liye

sitam hai fasl-e-bahaari mein baghban ka hukm
na hoe bagh mein bulbul ko aashiyan kai liye

kahega naseha kya faede ki tu mere
hue hain khalq hi aashiq faqat ziyan kai liye

na kharch ba-khuda umr-e-aziz apni kar
mila nahin tujhe ye naqd raegan ke liye

yahan hain tukde jigar mah-washon ke be-dekhe
ye baat kab hai mayassar bhala katan ke liye

hamara rokna achchha nahin hai sun lena
ek aur roz bura hoga pasban kai liye

na hoe kyun dar-e-asnam sajda-gah apna
jabin bani hai buton hi ke aastan ke liye

basa hai dil ke mere qasr mein tasawwur-e-yar
makin tha ye saza-war is makan ke liye

suna ke qissa-e-gham apna us ko apne hi
dil-o-jigar ne maze gham ki dastan ke liye

use to roz bahane ko chahiyen dariya
kahan se laun main us chashm-e-khunfishan ke liye

nahin to bar-sar-e-har-muddaa hai sau sau bar
par ek zaban jo hilti nahin so han kai liye

chhupa rahe na rukh-e-yar zulf mein kyun-kar
taqayya farz hai momin ko hifz-e-jaan ke liye

suna jo madh bhi kije to kije aise ki
ki jis ki madh ho fakhr ahl-e-asman ke liye

na ye ki har kas-o-na-kas ke bhat jaiye ban
pae-umid-e-zar-e-naqd-o-hirs-e-nan ke liye

nahin hai madh kisi ke liye yahan zeba
jo hai to hai nabi-e-akhiruz-zaman ke liye

wo wo hai nam zaban par gar us ka aa jawe
to lazzat aur hi hasil ho kaam-o-jaan ke liye

wo wo hai nam-e-khuda dekho jis ka zarra-e-lutf
farogh-bakhsh hai is tira-khak-dan ke liye

usi ke hai rukh-e-anwar se ye jahan raushan
usi se nur hai khurshid-e-asman ke liye

wo kaun sarwar-e-alam mohammad-e-arabi
ki jis ki zat se hai faiz do-jahan ke liye

ata kiya hai khuda ne wo han use dil-o-dast
ki jis se pahunche hai imdad bahr-o-kan ke liye

kalid-e-qufl-e-dar-e-arzu hain us ki bhawen
bila-mubaalagha kahta hun ins-o-jaan ke liye

itaat us ki zakhira hai bas saadat ka
yahan ke waste aur mulk-e-jawedan ke liye

wo jo zaban ki ho us ki madh se sakit
majal-e-nutq na ho 'aish' us zaban ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close