dil ki yaad-dahani se aankh khuli hairani se rang hain sare mitti ke be-range is pani se harf-nigari sikhi hai kamre ki virani se ped ujadte jate hain shakhon ki nadani se dagh-e-girya aankhon ka kab dhulta hai pani se haar diya hai ujlat mein khud ko kis aasani se khauf aata hai aankhon ko bhed bhari uryani se roz pasina bahta hai aankhon ki peshani se