dil ke sune sahn mein gunji aahat kis ke panw ki dhup-bhare sannate mein aawaz suni hai chhanw ki ek manzar mein sare manzar pas-manzar ho jaane hain ek dariya mein mil jaani hain lahren sab dariyaon ki dasht-nawardi aur hijrat se apna gahra rishta hai apni mitti mein shamil hai mitti kuchh sahraon ki barish ki bundon se ban mein tan mein ek bahaar aai ghar ghar gae git gagan ne gaunjin galiyan ganw ki subh sawere nange panw ghas pe chalna aisa hai jaise bap ka pahla bosa qurbat jaise maon ki ek jaisa ehsas lahu mein jita jagta rahta hai ek udasi de jati hai dastak roz hawaon ki sinon aur zaminon ka ab manzar-nama badlega har su kasrat ho jaani hai phulon aur duaon ki