dil ki zaban se us ko sada dena chahiye baithe gala to aise bula lena chahiye nazren chura bacha ke utha lena chahiye auron ke dard ka bhi maza lena chahiye bistar pe aasman ke thithure hai chandr-ma baadal idhar-udhar se daba lena chahiye kandhe samay ke bojh se shal ho gae to kya ye bojh muskura ke utha lena chahiye kuchh gumrahi tumhein pe nahin farz rahrawo manzil ko bhi to rah mein aa lena chahiye aise buzurg bakht raha jin ka na-rasa aison se zindagi ki dua lena chahiye aaina tak to ulti kahe hai agar fareb khana ho koi dost bana lena chahiye un ko parae 'ashk' lagen hain agar aziz ghairon mein apna nam likha lena chahiye