thaharna bhul gai hain lahu se tar aankhen bhatakti rahti hain din raat dar-ba-dar aankhen wajud mera kahin kho na jae bin tere rahengi yun hi tere sath umr bhar aankhen tum apni aankhon ko nazzara-e-jahan bakhsho meri to ghumti rahti hain ret par aankhen tilism-khana-e-hairat hai ek putli mein dikhati hain mujhe kya kya ye mukhtasar aankhen tumhaare wade pe aisa yaqin hai dil ko kabhi hain dar pe kabhi waqf-e-rahguzar aankhen teri nazar ke taaqub mein hai nazar meri teri nazar hai jidhar hain meri udhar aankhen ye khadd-o-khal ye gesu ye surat-e-zeba sabhi ka husn hai apni jagah magar aankhen