dil kisi mushtaq ka thanda kiya khub kiya aap ne achchha kiya aaj haya aankh ki kuchh aur hai chahne wala koi paida kiya hae re paiman-shikani ke maze jab main gaya wada-e-farda kiya kuchh to kisi ne unhen samjha diya hum jo gae aaj to parda kiya go ki na tha meri taraf munh magar tirchhi nigahon se wo dekha kiya aah ki taqsir nahin hai magar be-asari ne mujhe ruswa kiya kah ke le aate hain tumhein hoshiyar ye na kiya hum ne to phir kya kiya maut ke sadqe ki ye kahte the wo aaj na us ne koi phera kiya aap ke ehsan ki tarif hai main ne agar shikwa-e-ada kiya nam mera sunte hi sharma gae tum ne to khud aap ko ruswa kiya qadr meri tum ne na ki warna main kya kahun kya aap ko samjha kiya main ne to ai jaan-e-jahan jaan di tum ne ada haqq-e-wafa kya kiya phir wo nahae araq-e-sharm mein kis ne mere ishq ka charcha kiya main dil-e-sad-chaak ka kahta tha haal shana abas zulf se uljha kiya us ki nazar mein hua halka 'nasim' mujh se mere shauq ne kya kya kiya