jo mera le gaya dil kaun wo insan hai kya hai pari hai ya malak ya hur ya ghilman hai kya hai nazar zulfon pe us ki ja padi jis ki laga kahne ye donon sanp hain ya kakul-e-pechan hai kya hai gaya hun bhul sab kuchh dukhtar-e-raz jaise hath aai jigar hai jaan hai iman hai iqan hai kya hai hamare yar ke kuchh darmiyan jo baat bol utthe raqib-e-ru-siyah ghammaz ya shaitan hai kya hai zamin par jhankte hain roz-o-shab aflak se kis ko mah-o-khur ya kisi ka dida-e-hairan hai kya hai mere rone ko dekha hijr mein jis ne so yun bola jhadi barsat ki ya mauja-e-tufan hai kya hai ba-josh-e-ishq latke hai nahin mujh ko tamiz itni ba-mizhgan lakht-e-dil ya dur hai ya marjaan hai kya hai meri chhati pe rakh kar dast ki tashkhis hukama ne ye sina kan-e-gandhak ya ki aatish-dan hai kya hai jale sine se dud uttha dimagh aashufta kar dala mukarrar dil bhuna ya phir jigar biryan hai kya hai na bhul ai khizr mar jaana hai aakhir tuk jiya to kya agar madam hai kya hai wagar yak aan hai kya hai fana-fishshaikh ho, tafriq 'afridi' na kar hargiz nabi hai ya ali ya hafiz-e-quran hai kya hai