dil kitna farebi hai adakar na ho jae ye rauzan-dar-rauzan-e-diwar na ho jae ek khwab tere wasl ki khushbu se racha khwab ye khwab mujhe bais-e-azar na ho jae ye hanste hue log ye mahke hue manzar ye bhid kahin waqif-e-asrar na ho jae dil hai kisi ummid ke sae mein farozan yak-tarfa tasalli ka saza-war na ho jae ye waswasa-e-kaun-o-makan hasil-e-tashkik wo shakhs kahin mujh mein giraftar na ho jae 'rahil' main kisi sham ka bujhta hua suraj duniya hi kahin meri azadar na ho jae