dil ko bhi gham ka saliqa na tha pahle pahle us ko bhi bhulna achchha laga pahle pahle dil tha shab-zad use kis ki rifaqat milti khwab tabir se chhupta raha pahle pahle pahle pahle wahi andaz tha dariya jaisa pas aa aa ke palatta raha pahle pahle aankh aainon ki hairat nahin jati ab tak hijr ka ghao bhi us ne diya pahle pahle khel karne ko bahut the dil-e-khwahish-dida kyun hawa dekh jalaya diya pahle pahle umr-e-ainda ke khwabon ko pyasa rakkha fasla panw pakadta raha pahle pahle nakhun-e-be-khabari zakhm banata hi raha ku-e-wahshat mein to rasta na tha pahle pahle ab to us shakhs ka paikar bhi gul-khwab nahin jo kabhi mujh mein tha mujh jaisa tha pahle pahle ab wo pyasa hai to har bund bhi puchhe nisbat wo jo dariyaon pe hansta raha pahle pahle wo mulaqat ka mausam nahin aaya ab ke jo sar-e-khwab sanwarta raha pahle pahle gham ka dariya meri aankhon mein simat kar puchhe kaun ro ro ke bichhadta raha pahle pahle ab jo aankhen huin sahra to khula har manzar dil bhi wahshat ko tarasta raha pahle pahle main thi diwar to ab kis ka hai saya tujh par aisa sahra-zada chehra na tha pahle pahle