harim-e-naz kahan aur sar-e-niyaz kahan kahan ka sajda kise hosh hai namaz kahan mujhe khabar hi nahin hai harim-e-naz kahan niyaz-mand kahan aur be-niyaz kahan padi hai kya use hasrat zadon mein aane ki ye meri bazm kahan aur wo mahw-e-naz kahan ye mana husn-e-haqiqat ayan majaz mein hai magar wo jalwa hai ai chashm-e-imtiyaz kahan ilaj kis ka karega ye puchhta kya hai bataen kya tujhe hai dard chaarasaz kahan kabhi to milti thi hijr-o-visal mein lazzat magar bujhi hui dil mein wo soz-o-saz kahan duaen mangta hai shaikh kyun maaz-allah khuda ka nam le tauba ka dar hai baz kahan bade maze se guzarti hai baada-khwaron ki ba-juz sharab khayal-e-shab-e-daraaz kahan mila wo be-khudi-e-shauq mein maza ai 'shauq' junun-o-ishq mein baqi hai imtiyaz kahan