dil ko dar-us-surur kahte hain jalwa-gah-e-huzur kahte hain na kahen ba-wafa mujhe munh se han wo dil mein zarur kahte hain wo mujhe aur kuchh kahen na kahen shefta to zarur kahte hain ek khudai kaha kare qahhaar hum to us ko ghafur kahte hain pi ke dekhi bhi hazrat-e-waiz aap jis ko tuhur kahte hain