jab bhi wo mujh se mila rone laga aur jab tanha hua rone laga doston ne hans ke jab bhi baat ki wo hansa phir chup raha rone laga jab bhi mere panw mein kanta chubha patta patta bagh ka rone laga aabyari ke liye aaya tha kaun har shajar murjha gaya rone laga chand nikla jab moharram ka kahin chup se dasht-e-karbala rone laga us pe kya biti hai apne shahr mein aashna na-ashna rone laga mere dushman ka rawayya tha ajab jab hua mujh se juda rone laga baadalon ne aaj barsaya lahu amn ka har fakhta rone laga dekh kar masjid mein mujh ko muztarib mere gham mein but-kada rone laga tha 'zafar' ka ek anokha majra ghaur se jis ne suna rone laga