dil ko duniya ka hai safar darpesh aur chaaron taraf hai ghar darpesh hai ye aalam ajib aur yahan majra hai ajib-tar darpesh do jahan se guzar gaya phir bhi main raha khud ko umr bhar darpesh ab main ku-e-abas shitab chalun kai ek kaam hain udhar darpesh us ke didar ki ummid kahan jab ki hai did ko nazar darpesh ab meri jaan bach gai yani ek qatil ki hai sipar darpesh kis tarah kuch par kamar bandhun ek rahzan ki hai kamar darpesh khalwat-e-naz aur aaina khud-nigar ko hai khud-nigar darpesh