waqar-e-shah-e-zawil-iqtadar dekh chuke zuhur-e-qudrat-e-parwardigar dekh chuke naqab khol ke ru-e-nigar dekh chuke kuchh ek bar nahin lakh bar dekh chuke jahan ke aish-o-gham-e-rozgar dekh chuke jo dekhta tha so parwardigar dekh chuke wo jite-ji hue iza se naza ki aagah jo sadme tere shab-e-intizar dekh chuke khuda ke waste ab chhod jism-e-khaki ko aziyyaten bahut o jaan-e-zar dekh chuke junun ne khub dikhai bahaar-e-jeb-o-kanar hawa mein udte hue tar tar dekh chuke wo qaul ghair ko dete hain lete hain iqrar teri taraf ko dil-e-be-qarar dekh chuke yaqin hai ab na karen mere qatl mein takhir fasan chata ke wo khanjar ki dhaar dekh chuke na dal pech mein khatir na ab pareshan kar bahut se dard-e-sar o zulf-e-yar dekh chuke kare wo zinat-e-fitrak ya halal kare kahin idhar ko bhi wo shahsawar dekh chuke na pahuncha ek bhi zarra tumhaare daman tak uda ke khak bhi hum khaksar dekh chuke hue safed-o-siyah-e-jahan se waqif bahut si gardish-e-lail-o-nahaar dekh chuke kiye hain khub se nazzare bagh-e-hasti ke jahan ko bas mere parwardigar dekh chuke ilahi tu ne sharaf jis ko aasman pe diya wo sar-zamin bhi ye khaksar dekh chuke nahin hai ek mein himmat ye wo zamana hai gharib dekh chuke mal-dar dekh chuke tahi hai nashsha-e-ulfat se ye khum-e-gardun sharaben pi ke tere baada-khwar dekh chuke kulah-e-kaj ko hata kar dikha diya abru qasam ali ki khinchi zul-fiqar dekh chuke bhala wo khak karen qasd bazm-e-hasti ka jo log rahat-e-kunj-mazar dekh chuke hua yaqin farishton ko khaksari ka kafan likha jo ye khatt-e-ghubar dekh chuke amame-baz jo ye kanthe ghatte wale hain jahan mein jaise hain zi-e'tibar dekh chuke athai-gire hain sab jal-saz hain mufsid kuchh ek do nahin hum to hazar dekh chuke siwae zat-e-khuda sab ke waste hai fana sabaat-e-hasti-e-na-paedar dekh chuke qusur-e-bakht hai phir jaen ab agar mahrum dar-e-karim to ummid-war dekh chuke hazar-shukr ki baqi nahin koi hasrat bahaar teri bhi o gul-ezar dekh chuke najaf ko le gae mayyat farishta-e-naqqal aziz khol ke mera mazar dekh chuke faqir bhi mutarassid nigah-e-lutf ka hai idhar bhi 'rind' mera shahryar dekh chuke