dil ko duniya se uThaenge chale jaenge

dil ko duniya se uthaenge chale jaenge
khak hasti ki udaenge chale jaenge

ye parinde jo munderon pe khuli dhup mein hain
baal-o-par apne sukhaenge chale jaenge

ek nazar dekh jab aaina banaya hai hamein
hum tere hosh udaenge chale jaenge

jo kisi ko bhi samajh mein nahin aaenge wahi
zindagi kya hai bataenge chale jaenge

hum to bas un ki angithi ka bacha indhan hain
dil wo phir aa ke jalaenge chale jaenge

mera khaliq bhi to dekhe wo hai kaisa khaliq
aaina us ko dikhaenge chale jaenge

ai khuda kya teri duniya ko bana kar dozakh
apni jannat wo kamaenge chale jaenge

hasrat-e-dad bhi ab dil mein nahin hai 'pinhan'
muft mein sher sunaenge chale jaenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close