jaan-e-man aap to bezar hue baiThe hain

jaan-e-man aap to bezar hue baithe hain
kya masiha mere bimar hue baithe hain

is ada par mera dil kya meri jaan bhi hazir
aap yun khinch ke jo talwar hue baithe hain

dushman-e-jaan the to karte the taaqub lekin
jaan-e-jaan ho ke to be-kar hue baithe hain

sham ki chae ka wada wo udhar bhul gae
hum idhar subh se tayyar hue baithe hain

hasil-e-ishq hai kya husn-e-nazar se aage
khush-guman talib-e-didar hue baithe hain

phir zamane ka hai israr chalo sath chalo
aur hum rah mein diwar hue baithe hain

un ki nazron ka ishaara hai nizam-e-hasti
apni qudrat ka jo shahkar hue baithe hain

zindagi khwab magar khwab-e-haqiqat-nigaran
hum ye kis nind mein bedar hue baithe hain

dad-o-tahsin ki parwa nahin hum ko 'pinhan'
hum ghazal kah ke hi sarshaar hue baithe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close