dil ko ehsas ki shiddat ne kahin ka na rakha khud mohabbat ko mohabbat ne kahin ka na rakha bu-e-gul ab tujhe ehsas hua bhi ki tujhe teri aawara tabiat ne kahin ka na rakha tum ko har shakhs se hai chashm-e-murawwat ki umid tum ko is chashm-e-murawwat ne kahin ka na rakha hum wo hain jin ko tamasha-kada-e-hasti mein jalwa-e-alam-e-hairat ne kahin ka na rakha nigah-e-shauq kisi shai pe thaharti hi nahin is basarat ko basirat ne kahin ka na rakha pahle ye shukr ki hum hadd-e-adab se na badhe ab ye shikwa ki sharafat ne kahin ka na rakha