ye bhi rawish kya khub hai sachchi khushi ke waste jina kisi ke waste marna kisi ke waste lazim hain dur-andeshiyan ek falsafi ke waste fikr-o-nazar darkar hain danishwari ke waste jab tak na ho irfan-e-zat idrak-e-alam kuchh nahin ya-rab basirat kar ata khud-agahi ke waste ahl-e-khirad se hal na honge zindagi ke masale ahl-e-junun ko dhund is dard-e-sari ke waste hote rahoge ta-ba-ke sharminda-e-ehsan-e-ghair yaro yahan ki chand-roza zindagi ke waste donon hain afsurda-dil aazurda-nazar aashufta-haal ek be-khudi ke waste aur ek khudi ke waste kis darja pur-asrar hota ja raha hai in dinon ek masala hai aadmi khud aadmi ke waste mujh ko kisi ki zat se kya lena dena hai magar koshan hun main to ittihad-e-bahami ke waste 'rahbar' na hoga shabnam-afshani se bar-awar ye bagh khun-e-jigar ki hai zarurat shaeri ke waste