dil ko hai us ki chah kya kariye ho gaya ishq aah kya kariye ishq mein aah aah kiya kariye zindagi yun tabah kiya kariye ba-wafa ho ki bewafa kuchh ho gar na kariye nibah kya kariye jo kisi ka hua na ho ab tak us se ummid aah kya kariye us pe hi jab nigah thahri ho phir kisi par nigah kya kariye ishq sa jab gunah kar dala aur koi gunah kiya kariye jis pe 'alam' asar na ho kuchh bhi dil mein aise ke rah kiya kariye