haal-e-dil yar ko sunana kya ro ke khud us ko bhi rulana kya kha rahe ho qasam jawani ki is jawani ka hai thikana kya lena aathon pahar tumhaara nam sari duniya ko bhul jaana kya mere dil hi mein jab basa hai wo phir bhi us ki gali mein jaana kya aaj hain dost aur kal dushman aise logon ka dostana kya khul gaya jab ki bewafa hai wo phir use aur aazmana kya bij bote hain log nafrat ke uth gaya pyar ka zamana kya jin ki yaadon se un ki yaad aae wo jafaen bhi bhul jaana kya gar nahin hain ye khel ulfat ke ruthna kya hai aur manana kya dil mein phir gudgudi lagi uthne fasl-e-gul ka hai ye zamana kya qatl-o-ghaarat hai ashk-bari hai dekha jata hai ye zamana kya gham-e-dauran hi kam na tha ai dil ab gham-e-ishq bhi uthana kya khud-bakhud jhuk raha hai sar 'alam' aa gaya us ka aastana kya