dil ko har haal mein masruf-e-dua rakkha hai main ne ye jurm bhi apne pe rawa rakkha hai meri har sans rasulon ki zaban hai jaise main ne har sans mein ek harf-e-wafa rakkha hai aap to garmi-e-haalat se ghabraate hain hum ne suraj ko bhi sine mein chhupa rakkha hai aagahi garm-e-safar hai nai manzil ki taraf chand ka zikr hi kya chand mein kya rakkha hai hum ki haalat ki taswir batane wale hum ko haalat ne taswir bana rakkha hai zindagi se kaho ab koi taqaza na kare main ne har gham ko kaleje se laga rakkha hai jis jagah qafila-e-dard ruka tha 'khusraw' dard-mandon ne wahin shahr basa rakkha hai