main baat kaun se pairaya-e-bayan mein karun

main baat kaun se pairaya-e-bayan mein karun
jo sochta hun use kis zaban mein likhun

katar diye hain zamane ne pankh khwabon ke
bhara hai saghar-e-hasrat mein aarzuon ka khun

nahin hai kushta-e-khuban ka khun-baha koi
ai ahl-e-shauq na khao fareb harf-e-fusun

kabhi hai chand ka haala naqab-e-lala kabhi
anile rang dikhati hai zulf-e-ghaaliya-gun

zamam-e-rahila-e-dil khirad ke hath mein do
ki marti hai hawas is nawah mein shab-khun

ab is ko khana-kharabi kaho ki mamuri
zamin mein sath khazane ke dhans gaya qarun

banu-tamim ho tum main salama-bin-jindal
bila-jawaz tumhaari sana main kaise karun

parindgan-e-bayaban karen wasila jise
main us amin ke khirman ke khosha-chinon mein hun

shahid-e-ilm bhi hun zinda-e-mohabbat bhi
ba-faiz-e-zauq-e-salim-o-tabiat-e-mauzun

sharik-e-zumra-e-mehnat-kashan hai shair bhi
baha-e-sad-nafas-e-khun-chakan hai ek mazmun

anadi-pan na kaho meri sada-lauhi ko
hun nau-niyaz magar kuhna-mashq-e-jazb-o-junun

bala-e-jabr bhi hai pa-e-ikhtiyar bhi hai
qusur-war hun main ya sada-e-kun-fayakun

dara-e-farra-e-farhang dekho rang-e-sukhan
abul-kalam nahin main abul-maani hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close