dil ko harif-e-naz kiye ja raha hun main har shai se be-niyaz kiye ja raha hun main shukr-e-nigah-e-naz kiye ja raha hun main fitrat ko karsaz kiye ja raha hun main hai justuju-e-sirr-e-haqiqat-rawan-faroz rah-e-talab daraaz kiye ja raha hun main duniya ko de raha hun sabaq husn-o-ishq ka ifsha har ek raaz kiye ja raha hun main hoga kabhi to husn-e-haqiqat nazar-nawaz nazzara-e-majaz kiye ja raha hun main nakaami-e-umid se ghabra na jae dil qismat par apni naz kiye ja raha hun main mahrum rah na jae koi tishna-kaam 'raaz' arzan sharab-e-raaz kiye ja raha hun main