sawad-e-hijr mein rakkha hua diya hun main tujhe khabar nahin kis aag mein jala hun main main qarya qarya phira gard-baad ban ke jahan usi zamin pe parcham-sifat utha hun main abhi chhuti nahin jannat ki dhul panw se hanuz farsh-e-zamin par naya naya hun main hazar shukr hai ki khud pe ustuwar tha main hazar shukr ki buniyaad par gira hun main meri shaguft ke mausam abhi nahin aae kahin kahin pe magar phir bhi khil gaya hun main meri shikast bhi hai rekht 'iftikhar-mughal' ki yunhi banne bigadne mein hi bana hun main