dil ko karun nisar ki warun jigar ko main

dil ko karun nisar ki warun jigar ko main
aankhon mein dun jagah tere tir-e-nazar ko main

mayus ho ke baith rahun umr bhar ko main
yun tul dun ab apne gham-e-mukhtasar ko main

ab kya sunaun qissa-e-dard-e-jigar ko main
pahchanta hun khub kisi ki nazar ko main

sine do sham-e-hijr gareban-e-arzu
daman-e-sabr chaak karunga sahar ko main

hun husn-e-jaan-sitan ke ishaare ka muntazir
tayyar hun ba-shauq adam ke safar ko main

aata hai yaad daur-e-mai-o-jam-e-mai-kada
gardish mein dekhta hun jo shams-o-qamar ko main

ai jaan-e-zar sabr ki koshish fuzul hai
samjha hua hun hukm-e-qaza-o-qadar ko main

tasir hai zaban mein na dil mein khulus hai
paida karun kahan se dua mein asar ko main

sau bar ho chuka hai qayamat ka samna
pahchanta hun khub teri rahguzar ko main

tukde dil-o-jigar ke hain aaina-e-nigah
bhula nahin hun teri khadang-e-nazar ko main

koshish ye hai ki jama karun ab hawas-o-hosh
dawat jo de chuka hun kisi ki nazar ko main

ta-hashr dil ko dil se na milne diya kabhi
'masud' kya kahun falak-e-fitna-gar ko main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close