dikhati hai meri tahrir eajaz-e-raqam mera zaban-e-be-zaban ban ban ke chalta hai qalam mera hua hai wajh-e-barbaadi wajud-e-kal-adam mera milata hai mujhe mitti mein har naqsh-e-qadam mera subuk hunga na qatil ki subukdasti ke ehsan se rahega roz-e-mahshar bhi sar-e-taslim kham mera gul-e-dagh-e-jigar ki qadr jannat mein hui ja kar bahut mushtaq nikla bagh-e-firdaus-o-iram mera na hone pai laghzish imtihan-gah-e-mohabbat mein khuda ka shukr hai sabit qadam nikla qadam mera na jine ki khushi mujh ko na kuchh marne ka andesha mere nazdik to yaksan hai hasti-o-adam mera kiya betab unhen bhi garmi-e-soz-e-mohabbat ne mujhi tak ab nahin mahdud ai dil ranj-o-gham mera na aaya marte marte shikwa-e-jaur-e-nihan lab tak qayamat tak karenge tazkira ahl-e-sitam mera charaghan kaba-e-dil mein kiya 'masud' daghon ne na dekhe rashk se munh kis tarah sham-e-haram mera