dil ko kis surat se kije chashm-e-dilbar se juda shisha-e-mai ko nahin rakhte hain saghar se juda main to hun ai tala-e-bargashta dilbar se juda aur patthar aasiya ka ho na patthar se juda us ke bahr-e-husn mein mat chhod ai dil tar-e-zulf gharq ho jati hai kashti ho ke langar se juda ishq mein shirin ke tu ne jaan-e-shirin di hai aah naqsh tera kohkan ho kyun ki patthar se juda chashm ye tujh se hai ya-rab ta na ho lail-o-nahaar chashm us parda-nashin ke rakhna-e-dar se juda kanda is mere nagin-e-dil pe tera nam hai us ko apne khatam-e-dil ke na kar ghar se juda is ko kahte hain mohabbat shisha-e-saat ko dekh ek ke hota nahin hai dusra bar se juda wo udhar khandan hai main giryan idhar hairat hai ye barq chamke abr garje aur meinh barse juda surat-e-baadam-e-taw-am roz-o-shab hota nahin chashm-e-dilbar ka tasawwur chashm ke ghar se juda sozan-e-be-rishta aati hai kasi ko kab nazar to na ho ai aah-e-dil is jism-e-laghar se juda parda-e-mina se saqi dukht-e-raz nikle hai kyun aaftab-e-khawari hota hai khawar se juda us ki mizhgan se chhudaun dil ko kis surat se main panja-e-shahin nahin hota kabutar se juda tab us champa-kali ki yun hai tikme ke tale jun kiran chamke hai ho kar mahr-e-anwar se juda ashk-e-chashm-e-tar ko rahne dun tah-e-mizhgan na kyun tifl ko karte nahin daman-e-mader se juda is zamin mein likh ghazal ek aur pur-mani 'nasir' rang yani ho nahin sakta gul-e-tar se juda is ghazal ko sun ke 'khaqani' kare wajd ai 'nasir' 'anwari' bhi sar ko apne patke patthar se juda