ruh ke zakhm ko lazim hai nihan ho jaana ghair-mumkin hai us ek shai ka bayan ho jaana khun de kar bhi unhen kaise bachaya jata jin charaghon ka muqaddar tha dhuan ho jaana dekhta rah gaya virana-e-hasti mein koi apne zakhmon ka bahaaran ki zaban ho jaana chalna padta hai har ek rah mein ek umr 'taraaz' itna aasan nahin manzil ka nishan ho jaana