dil ko koso jo chahta hai By Ghazal << maut behtar hai aise jine... mohabbat kar ke sharminda... >> dil ko koso jo chahta hai main ne kya aap ka liya hai kya hanste ho mere rone par tum dil ka aana buri bala hai jitna chaho jalao hum ko tum bhi kitne ho dekhna hai mashuq manaen tum ko 'jauhar' ye bhi ek qudrat-e-khuda hai Share on: