mohabbat kar ke sharminda nahin hun main is duniya ka bashinda nahin hun hisab-e-dil-baran mujh se na mango main ek shair hun karinda nahin hun main ek aazad-o-khud-raushan sitara kisi suraj se tabinda nahin hun tilism-e-gham se patthar ho gaya hun main zinda hun magar zinda nahin hun ye mera ahd mujh mein ji raha hai main bas apna numainda nahin hun