dil ko phir uski mohabbat ka guman hai ki jo tha

dil ko phir us ki mohabbat ka guman hai ki jo tha
phir ghazal-khwan mera andaz-e-bayan hai ki jo tha

zehn mein jal to uthe ilm-o-taraqqi ke charagh
dil mein ikhlas magar hae kahan hai ki jo tha

chhut gaya aql ke hathon se yaqin ka daman
phir wahi silsila-e-wahm-o-guman hai ki jo tha

amn ke dawe hain din-raat magar kya kahiye
ab bhi har samt wahi shor-e-fughan hai ki jo tha

khanda-e-gul ki qasam girya-e-shabnam ki qasam
wahi andaz-e-jahan-e-digran hai ki jo tha

dhundhne mein tujhe taklif na hogi ai dost
mera ab bhi wahi mitti ka makan hai ki jo tha

apne qadmon pe bhi tum dekh lo kuchh hai ki nahin
mere mathe pe to ab tak wo nishan hai ki jo tha

shauq hai aish hai ai 'raaz' adakari hai
ab kahan ishq wabaal-e-dil-o-jaan hai ki jo tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close