dil ko tarz-e-nigah-e-yar jatate aae tir bhi aae to be-par ki udate aae baadshahon ka hai darbar dar-e-pir-e-mughan saikdon jate gae saikdon aate aae chhup ke bhi aae mere ghar to wo darbanon ko apni pazeb ki jhankar sunate aae roz-e-mahshar jo bulae gae diwana-e-zulf bediyan pahne hue shor machate aae kya kahenge koi mahshar mein jo puchhega 'amir' kyun na bigdi hui baaton ko banate aae