panw rukte hi nahin zehn thaharta hi nahin koi nashsha hai thakan ka ki utarta hi nahin din guzarte hain guzarte hi chale jate hain ek lamha jo kisi tarah guzarta hi nahin bhaari darwaza-e-ahan ki nahin khul pata mere sine mein ye sannata utarta hi nahin dast-e-jaan se main utha lun use pi lun lekin dil wo zahrab pyala hai ki bharta hi nahin kya liye phirta hun main aab sarab aankhon mein dubta hi nahin koi ki ubharta hi nahin ye pighalti hi nahin shama ki jalti hi nahin ye bikharta hi nahin dasht ki marta hi nahin kuchh na kahiye to bhala yun hi samajhte rahiye puchh lije to wo aibon se mukarta hi nahin