dil ko taskin ho gai hai samne aane ke baad

dil ko taskin ho gai hai samne aane ke baad
jaan jaegi hamari aap ke jaane ke baad

mujh se diwane ko samjhana usi ka kaam hai
khud samajh jaega naseh mujh ko samjhane ke baad

tujh se pahle mit chuke hain kaise kaise namwar
nam tera bhi na lega koi mar jaane ke baad

mehman hote the jab wo dil pe bas rahta na tha
ek din aane ke pahle ek din jaane ke baad

uth gae baalin se tum bimar ka ye haal tha
aankh mein aansu bhare the hosh mein aane ke baad

tujh ko ai shaikh-e-haram kaba mubarak ho tera
dusra ghar hum nahin dekhenge mai-khane ke baad

sharm se gardan jhuka kar chutkiyan lene lagi
shokhiyan karne lage phir aap sharmane ke baad

hum kaha karte hain un ke kuche mein har ek se
dafn kar dena yahin par hum ko mar jaane ke baad

zulm se apne pasheman aakhirash hona pada
jhuk gain un ki nigahen lash par aane ke baad

ho gae sairab pi kar khun-e-dil ai ishq hum
khub aasuda hue lakht-e-jigar khane ke baad

mujh ko marne ka nahin gham ranj hai is baat ka
zulm wo kis par karenge mere mar jaane ke baad

ishq mein afsurda ho kar dil ka hota hai wo rang
phul ka jo haal ho jata hai murjhane ke baad

sar jhuka kar lash par aae hain kis andaz se
wo dawa karne jo aae bhi to mar jaane ke baad

raste se wo palat kar aa rahe hain kis liye
kya khayal aaya unhen 'naushad' ghar jaane ke baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close